This Video Health Problems Solution Health Tips In Hindi Baasi Roti Doodh Ke Sath Khane Ke Fawaid
Basi Roti Khane Ke Fawaid
Aap Ko Yeh Sun Kar Thoda Pata To Lag Raha Ho Ga. Aur Soch Rahay Ho Gay. Yeh Kaisa Topic Hai. Magar Aap Yaqeen Rakho Yeh Bohat Hee Aazmaya Hua Sehat Se Juda Desi Nuskha Hai. Jis Se Aap Ke Jism Ko Heran Kar Dainay Walay Fawaid mMilte Hain. Kae Baar Raat Ko Jab Sab Khana Kha Lete Hain. To Roti Bach Jati Hai. Subah Hum Ya To Usay Pheink Dete Hain. Ya Phir Kutto Ko Daal Dete Hain. Basi Roti Khane Ke Fawaid Jan Kar Aap Heran Reh Jao Gay.

Magar Hum Aap Ko Yeh Bta Dein. Ke Aap Raat Ki Bachi Hue Roti Phainkay Nahi. Subah Aap Usay Istemal Karen. Phir Dekhein. Aap Ke Jism Ko Kya Kya Fawaid Milte Hain. Wese Bhee Agar Hum Din Bhar Chahay Kuch Bhi Kha Lein. Magar Hamara Pait Sirf Roti Se Hee Bharta Bai Hai. Kyun Ke Roti Mein Fibre Bohat Ziyada Miqdaar Mein Hota Hai. Aur Jis Se Khane Ko Hazam Karne Mein Madad Milti Hai. Aur Hamara Pait Bhara Bhara Rehta Hai. Agar Hum Raat Ki Bachi Hue Roti Ko Subah Doodh Ke Sath Khayen. To Is Se Hamein Bohat Fayda Milta Hai. Aur Hamari Sehat Bhee Theek Rehti Hai. Pehlay Baday Boodhay Hamesha Raat Ki Bachi Hue Roti Ko Subah Doodh Mein Daal Kar Khatay Thay. Jis Se Un Ki Sehat Theek Rehti Thee. Basi Roti Khane Ke Fawaid In Urdu Hindi.

Doodh Roti Aap Ne Bachpan Mein Bohat Khaee Ho Gi. Aur Kuch Log Dooodh Roti Ko Aaj Bhi Khana Pasand Karte Hain. To Yeh Aap Ke Liye Bohat Faydamand Hain. Abhi Tak Aap Isay Mazay Ke Liye Khatay Thay. Lekin Aaj Hum Yahan Aap Ko Doodh Roti Khanay Ke Fawaid Batayen Gay. Jisay Sun Kar Aap Heran Reh Jayen Gay.

Baasi Roti Doodh Ke Sath Khane Ke Fawaid
Khana Hazam Karne Ke Liye
Gandum Se Bani Roti Sehat Ke Liye Bohat Fayda Mand Hoti Hai. Is Ke Bohat Saaray Fawaid Hain. Aap Rozana Din Mein 2 Se 3 Baar Roti Khatay Hain. Is Mein Kaafi Miqdaar Mein Fibre Paya Jata Hai. Jo Khanay Ko Hazam Karne Mein Kaafi Madad Karta Hai. Aur Aap Ki Pait Se Mutaliq Problems Khatam Ho Jati Hain.

Energy Ke Liye
Aaj Bhi Dehi Ilaqon Mein Doodh Ke Sath Basi Roti Khana Sab Ka Pasandeeda Nashta Hota Hai. Aur Gaaun Ke Logon Mein Tawanai Bohat Hoti Hai. Mosam Garma Mein To Khaas Tor Par Log Usay Khana Pasand Karte Hain. Basi Roti Khanay Se Bhi Jism Ko Kafi Fayda Hota Hai. Aur Taqat Milti Hai. Aur Tawanai Barqarar Rehti Hai.

Blood Pressur Ke Liye
Basi Roti Doodh Mein Daal Kar Khanay Se Blood Pressure Control Mein Rehta Hai. Blood Pressure Ka Masla Aaj Kal Ke Daur Mein Har Doosray Aadmi Ko Hai. Chahay Wo Umar Mein Chota Ho Ya Bada. To Aisay Mein Raat Ki Bachi 2 Basi Roti Thanday Doodh Mein Daal Kar Khanay Se Blood Pressure Control Mein Rehta Hai.

Diabetes Ke Liye
Jin Logon Ko Diabetes Ki Pareshani Hoti Hai. Unhen Har Roz Pheekay Doodh Ke Sath Basi Roti Ka Istemal Karna Chahiye. Is Se Diabetes Control Ho Jaye Gi. Aur Aap Ki Diabetes Ki Bemari Kam Ho Jaye Gi.

Pait Ki Problems Ke Liye
Doodh Ke Sath Basi Roti Khanay Se Pait Ki Har Problam Theek Ho Jati Hai. Har Roz Subah Is Ka Istemal Karne Se Tezabiyat Ki Pareshani Door Ho Jati Hai. Aur Nizam E Hazma Ki Taqat Bhi Theek Rehti Hai. Is Se Pait Ki Problems Bhi Kam Ho Jati Hain.

Dublaypan Se Nijaat Ke Liye
Basi Roti Doodh Mein Daal Kar Khanay Se Hamari Health Se Judi Problems Theek Ho Jati Hain. Aur Hum Kae Bemariyon Se Bach Jatay Hain. Aur Is Ko Khanay Se Bohat Se Log Jo Dublay Patle Hotay Hain. Un Ka Jism Bhi Bhar Jata Hai. Isi Liye Agar Aap Dublay Pan Ke Shikaar Hain. To Aap Ko Is Ka Istemal Zaroor Karna Chahiye.
================================================
For more videos like this check out the Desi Tips channel on https://www.youtube.com/channel/UCavG7wFssvFj0TKoEs_rj5A
FaceBook Page… https://www.facebook.com/Desi-Tips-2124620864431198/
Desi Tips Is All About Health and Beauty Tips for all but specially for young generation Health Problems, Desi Nuskhe totkay and Wazaif to Improve health, Islami Wzaif, Health and Fitness Related All Of Men Problem, Desi Totakay and Tips, New
Health Disclaimer:
The information on this channel is designed for educational purposes only. It is not intended to be a substitute for informed medical advice or care

source